ahen na rind ye waiz ke bas ki baat nahin
tamam shahr hai do chaar das ki baat nahin
Kaifi Azmi
tashrif lao kucha-e-rindan mein waizo
sidhi si rah tum ko bata den najat ki
Lala Madhav Ram Jauhar
mujhe kafir hi batata hai ye waiz kam-baKHt
main ne bandon mein kai bar KHuda ko dekha
Mirza Mayal Dehlvi
talKHi tumhaare waz mein hai waizo magar
dekho to kis maze ki hai talKHi sharab mein
Mirza Mayal Dehlvi
dhoke se pila di thi use bhi koi do ghunT
pahle se bahut narm hai waiz ki zaban ab
through guile we have managed to ply him with
now the priest's tone is much gentler than before
Riyaz Khairabadi
guman kis par karen sufi idhar hai us taraf waiz
KHuda rakkhe mohalle mein sabhi allah wale hain
Saail Dehlvi
kya madrase mein dahr ke ulTi hawa bahi
waiz nahi ko amr kahe amr ko nahi
Shaikh Zahuruddin Hatim