sanam-parasti karun tark kyunkar ai waiz
buton ka zikr KHuda ki kitab mein dekha
Aagha Akbarabadi
koi ilaj-e-gham-e-zindagi bata waiz
sune hue jo fasane hain phir suna na mujhe
Akhtar Ziai
umid-e-hur ne sab kuchh sikha rakkha hai waiz ko
ye hazrat dekhne mein sidhe-sade bhole-bhaale hain
Allama Iqbal
kahte hain jis ko jannat wo ek jhalak hai teri
sab waizon ki baqi rangin-bayaniyan hain
Altaf Hussain Hali
na waiz hajw kar ek din duniya se jaana hai
are munh saqi-e-kausar ko bhi aaKHir dikhana hai
Ameer Minai
teri masjid mein waiz KHas hain auqat rahmat ke
hamare mai-kade mein raat din rahmat barasti hai
Ameer Minai
waiz o mohtasib ka jamghaT hai
mai-kada ab to mai-kada na raha
Bekhud Badayuni