ek kami thi taj-mahal mein
main ne teri taswir laga di
Kaif Bhopali
ang KHushbu aur mausam ka bahana ho gaya
apni hi taswir mein chehra purana ho gaya
Khalid Ghani
afta rafta sab taswiren dhundli hone lagti hain
kitne chehre ek purane album mein mar jate hain
Khushbir Singh Shaad
ek bar tujhe aql ne chaha tha bhulana
sau bar junun ne teri taswir dikha di
Mahirul Qadri
mujhe ye zoam ki main husn ka musawwir hun
unhen ye naz ki taswir to hamari hai
Maqbool Naqsh
dilli ke na the kuche auraq-e-musawwar the
jo shakl nazar aai taswir nazar aai
Mir Taqi Mir
harf ko lafz na kar lafz ko izhaar na de
koi taswir mukammal na bana us ke liye
Mohammad Ahmad Ramz