pyar gaya to kaise milte rang se rang aur KHwab se KHwab
ek mukammal ghar ke andar har taswir adhuri thi
Ghulam Mohammad Qasir
aata tha jis ko dekh ke taswir ka KHayal
ab to wo kil bhi meri diwar mein nahin
Ghulam Murtaza Rahi
teri surat se kisi ki nahin milti surat
hum jahan mein teri taswir liye phirte hain
Imam Bakhsh Nasikh
sochta hun teri taswir dikha dun us ko
raushni ne kabhi saya nahin dekha apna
Iqbal Ashhar
kal teri taswir mukammal ki main ne
fauran us par titli aa kar baiTh gai
Irshad Khan ’Sikandar’
ek mohabbat ki ye taswir hai do rangon mein
shauq sab mera hai aur sari haya us ki hai
Javed Akhtar
taswir ke do ruKH hain jaan aur gham-e-jaanan
ek naqsh chhupana hai ek naqsh dikhana hai
Jigar Moradabadi