mai-kada hai yahan sakun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
Abdul Hamid Adam
aDe sukun se afsurdagi mein rahta hun
main apne samne wali gali mein rahta hun
Abid Malik
mila na ghar se nikal kar bhi chain ai 'zahid'
khuli faza mein wahi zahr tha jo ghar mein tha
Abul Mujahid Zahid
dil ki zid is liye rakh li thi ki aa jae qarar
kal ye kuchh aur kahega mujhe malum na tha
Arzoo Lakhnavi
hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil
ai zindagi wagarna zamane mein kya na tha
Azad Ansari
aur bhi dukh hain zamane mein mohabbat ke siwa
rahaten aur bhi hain wasl ki rahat ke siwa
sorrows other than love's longing does this life provide
comforts other than a lover's union too abide
Faiz Ahmad Faiz
sukun-e-dil ke liye ishq to bahana tha
wagarna thak ke kahin to Thahar hi jaana tha
Fatima Hasan