اردو हिंदी
Sukoon Shayari | Shaahi Shayari

Sukoon

17 Shers

sukun-e-dil jahan-e-besh-o-kam mein DhunDne wale
yahan har chiz milti hai sukun-e-dil nahin milta

Jagan Nath Azad




qarar dil ko sada jis ke nam se aaya
wo aaya bhi to kisi aur kaam se aaya

Jamal Ehsani




gham hai to koi lutf nahin bistar-e-gul par
ji KHush hai to kanTon pe bhi aaram bahut hai

Kaleem Aajiz




na jaane ruTh ke baiTha hai dil ka chain kahan
mile to us ko hamara koi salam kahe

Kaleem Aajiz




manzil pe bhi pahunch ke mayassar nahin sakun
majbur is qadar hain shuur-e-safar se hum

Karamat Ali Karamat




kise KHabar ki ahl-e-gham sukun ki talash mein
sharab ki taraf gae sharab ke liye nahin

Mahboob Khizan




nam honTon pe tera aae to rahat si mile
tu tasalli hai dilasa hai dua hai kya hai

Naqsh Layalpuri