اردو हिंदी
Sharab Shayari | Shaahi Shayari

Sharab

82 Shers

zahid sharab pine se kafir hua main kyun
kya DeDh chullu pani mein iman bah gaya

Sheikh Ibrahim Zauq




dard-e-sar hai KHumar se mujh ko
jald le kar sharab aa saqi

Taban Abdul Hai


Tags: | Sharab | | Saqi | | Dard | | 2 Lines Shayari |


kab pilawega tu ai saqi mujhe jam-e-sharab
jaan-ba-lab hun aarzu mein mai ki paimane ki tarah

Taban Abdul Hai




chhaTe ghubar-e-nazar baam-e-tur aa jae
piyo sharab ki chehre pe nur aa jae

Taban Ghulam Rabbani




kisi ke hath mein jam-e-sharab aaya hai
ki mahtab tah-e-aftab aaya hai

Taban Ghulam Rabbani