اردو हिंदी
ChhaTe ghubar-e-nazar baam-e-tur aa jae | Shaahi Shayari
chhaTe ghubar-e-nazar baam-e-tur aa jae

Ghazal

ChhaTe ghubar-e-nazar baam-e-tur aa jae

Taban Ghulam Rabbani

;

chhaTe ghubar-e-nazar baam-e-tur aa jae
piyo sharab ki chehre pe nur aa jae

uThao jam ba-nam-e-hayat baada-kasho
nazare jhumen nazar ko surur aa jae

sharab-KHane mein kausar ka zikr kya kahiye
kisi ki aql mein jaise futur aa jae

maqam-e-dar se guzro to zindagi pao
piyo jo zahr-e-halahal surur aa jae

nigah tez nafas garm aarzu bebak
jise ho naz hamare huzur aa jae

ye karobar-e-mashiyat bhi KHub hai 'taban'
kisi pe barq gire zad pe tur aa jae