اردو हिंदी
Dariya-e-ashk chashm se jis aan bah gaya | Shaahi Shayari
dariya-e-ashk chashm se jis aan bah gaya

Ghazal

Dariya-e-ashk chashm se jis aan bah gaya

Sheikh Ibrahim Zauq

;

dariya-e-ashk chashm se jis aan bah gaya
sun lijiyo ki arsh ka aiwan bah gaya

bal-be-gudaz-e-ishq ki KHun ho ke dil ke sath
sine se tere tir ka paikan bah gaya

zahid sharab pine se kafir hua main kyun
kya DeDh chullu pani mein iman bah gaya

hai mauj-e-bahr-e-ishq wo tufan ki al-hafiz
bechaara musht-e-KHak tha insan bah gaya

dariya-e-ashk se dam-e-tahrir haal-e-dil
kashti ki tarah mera qalam-dan bah gaya

ye roe phuT phuT ke pani ke aable
nala sa ek su-e-bayaban bah gaya

tha tu baha mein besh par us lab ke samne
sab mol tera lal-e-badaKHshan bah gaya

kashti sawar-e-umr hun bahr-e-fana mein 'zauq'
jis dam baha ke le gaya tufan bah gaya

tha 'zauq' pahle dehli mein punjab ka sa husn
par ab wo pani kahte hain multan bah gaya