suna hai shahr ka naqsha badal gaya 'mahfuz'
to chal ke hum bhi zara apne ghar ko dekhte hain
Ahmad Mahfuz
hiD ke KHauf se phir ghar ki taraf lauT aaya
ghar se jab shahr mein tanhai ke Dar se nikla
Aleem Masroor
jo mere ganw ke kheton mein bhuk ugne lagi
mere kisanon ne shahron mein naukri kar li
Arif Shafiq
hai ajib shahr ki zindagi na safar raha na qayam hai
kahin karobar si dopahr kahin bad-mizaj si sham hai
Bashir Badr
tamam raat nahaya tha shahr barish mein
wo rang utar hi gae jo utarne wale the
Jamal Ehsani
dosto tum se guzarish hai yahan mat aao
is baDe shahr mein tanhai bhi mar jati hai
Javed Nasir
tum bhi is shahr mein ban jaoge patthar jaise
hansne wala yahan koi hai na rone wala
Kailash Mahir