kis ki talash hai hamein kis ke asar mein hain
jab se chale hain ghar se musalsal safar mein hain
Aashufta Changezi
ye baat yaad rakhenge talashne wale
jo us safar pe gae lauT kar nahin aae
Aashufta Changezi
main apne aap mein gahra utar gaya shayad
mere safar se alag ho gai rawani meri
Abbas Tabish
sirf ek qadam uTha tha ghalat rah-e-shauq mein
manzil tamam umr mujhe DhunDti rahi
Abdul Hamid Adam
kisi ko ghar se nikalte hi mil gai manzil
koi hamari tarah umr bhar safar mein raha
Ahmad Faraz
na manzilon ko na hum rahguzar ko dekhte hain
ajab safar hai ki bas ham-safar ko dekhte hain
Ahmad Faraz
musafirat ka walwala siyahaton ka mashghala
jo tum mein kuchh ziyaada hai safar karo safar karo
Akbar Hyderabadi