huk chehron pe liye chand se pyare bachche
bechte phirte hain galiyon mein ghubare bachche
Bedil Haidri
ich saDak ek lash paDi thi aur ye likkha tha
bhuk mein zahrili roTi bhi miThi lagti hai
Bekal Utsahi
jurat-e-shauq to kya kuchh nahin kahti lekin
panw phailane nahin deti hai chadar mujh ko
Bismil Azimabadi
jab aaya id ka din ghar mein bebasi ki tarah
to mere phul se bachchon ne mujh ko gher liya
Bismil Sabri
hum hasin ghazlon se peT bhar nahin sakte
daulat-e-suKHan le kar be-faragh hain yaro
Faza Ibn e Faizi
aaya hai ek rah-numa ke istiqbaal ko ek bachcha
peT hai KHali aankh mein hasrat hathon mein gul-dasta hai
Ghulam Mohammad Qasir
apni ghurbat ki kahani hum sunaen kis tarah
raat phir bachcha hamara rote rote so gaya
Ibrat Machlishahri