siyah-baKHti mein kab koi kisi ka sath deta hai
ki tariki mein saya bhi juda rahta hai insan se
Imam Bakhsh Nasikh
ghurbat ki tez aag pe aksar pakai bhuk
KHush-haaliyon ke shahr mein kya kuchh nahin kiya
Iqbal Sajid
sharm aati hai ki us shahr mein hum hain ki jahan
na mile bhik to lakhon ka guzara hi na ho
Jaan Nisar Akhtar
wo akasr din mein bachchon ko sula deti hai is Dar se
gali mein phir khilaune bechne wala na aa jae
Mohsin Naqvi
wo aksar din mein bachchon ko sula deti hai is Dar se
gali mein phir khilaune bechne wala na aa jae
Mohsin Naqvi
achchon ki fees un ki kitaben qalam dawat
meri gharib aankhon mein school chubh gaya
Munawwar Rana
farishte aa kar un ke jism par KHushbu lagate hain
wo bachche rail ke Dibbon mein jo jhaDu lagate hain
Munawwar Rana