اردو हिंदी
Sahar hui to KHayalon ne mujhko gher liya | Shaahi Shayari
sahar hui to KHayalon ne mujhko gher liya

Ghazal

Sahar hui to KHayalon ne mujhko gher liya

Bismil Sabri

;

sahar hui to KHayalon ne mujh ko gher liya
jab aai shab tere KHwabon ne mujh ko gher liya

mere labon pe abhi nam tha bahaaron ka
hujum-e-shauq mein KHaron ne mujh ko gher liya

kabhi junun ke zamane kabhi firaq-ruten
kahan kahan teri yaadon ne mujh ko gher liya

nikal ke aa to gaya gahre paniyon se magar
kai tarah ke sarabon ne mujh ko gher liya

ye ji mein tha ki nikal jaun tujh se dur kahin
ki tere dhyan ki banhon ne mujh ko gher liya

jab aaya id ka din ghar mein bebasi ki tarah
to mere phul se bachchon ne mujh ko gher liya

hujum-e-ranj se kaise nikal sake 'bismil'
teri talash ke rishton ne mujh ko gher liya