sar dije rah-e-ishq mein par munh na moDiye
patthar ki si lakir hai ye koh-kan ki baat
Jurat Qalandar Bakhsh
idhar aa raqib mere main tujhe gale laga lun
mera ishq be-maza tha teri dushmani se pahle
Kaif Bhopali
tum se mil kar imli miThi lagti hai
tum se bichhaD kar shahad bhi khaara lagta hai
Kaif Bhopali
jhuki jhuki si nazar be-qarar hai ki nahin
daba daba sa sahi dil mein pyar hai ki nahin
Kaifi Azmi
ahaaron ki nazar mein phul aur kanTe barabar hain
mohabbat kya karenge dost dushman dekhne wale
Kaleem Aajiz
hala aadmi tha pa nadan nikla
suna hai kisi se mohabbat kare hai
Kaleem Aajiz
dil tham ke karwaT pe liye jaun hun karwaT
wo aag lagi hai ki bujhae na bane hai
Kaleem Aajiz