sab sitare dilasa dete hain
chand raaton ko chiKHta hai bahut
Alok Mishra
aas kya ab to umid-e-na-ummidi bhi nahin
kaun de mujh ko tasalli kaun bahlae mujhe
Amirullah Tasleem
hum ko na mil saka to faqat ek sukun-e-dil
ai zindagi wagarna zamane mein kya na tha
Azad Ansari
meri wafa hai us ki udasi ka ek bab
muddat hui hai jis se mujhe ab mile hue
Aziz Hamid Madni
koi kyun kisi ka lubhae dil koi kya kisi se lagae dil
wo jo bechte the dawa-e-dil wo dukan apni baDha gae
Bahadur Shah Zafar
lagta nahin hai dil mera ujDe dayar mein
kis ki bani hai aalam-e-na-paedar mein
my heart, these dismal ruins, cannot now placate
who can find sustenance in this unstable state
Bahadur Shah Zafar
hum to kuchh der hans bhi lete hain
dil hamesha udas rahta hai
Bashir Badr