sab ko pahuncha ke un ki manzil par
aap raste mein rah gaya hun main
Abdul Hamid Adam
sirf ek qadam uTha tha ghalat rah-e-shauq mein
manzil tamam umr mujhe DhunDhti rahi
Abdul Hamid Adam
kisi ko ghar se nikalte hi mil gai manzil
koi hamari tarah umr bhar safar mein raha
Ahmad Faraz
uqabi ruh jab bedar hoti hai jawanon mein
nazar aati hai un ko apni manzil aasmanon mein
Allama Iqbal
chala main jaanib-e-manzil to ye hua malum
yaqin guman mein gum hai guman hai poshida
Anwar Sadeed
ahbar rahzan na ban jae kahin is soch mein
chup khaDa hun bhul kar raste mein manzil ka pata
Arzoo Lakhnavi
ek manzil hai magar rah kai hain 'azhar'
sochna ye hai ki jaoge kidhar se pahle
Azhar Lakhnawi