اردو हिंदी
Had-e-nazar se mera aasman hai poshida | Shaahi Shayari
had-e-nazar se mera aasman hai poshida

Ghazal

Had-e-nazar se mera aasman hai poshida

Anwar Sadeed

;

had-e-nazar se mera aasman hai poshida
KHayal-o-KHwab mein lipTa jahan hai poshida

chala main jaanib-e-manzil to ye hua malum
yaqin guman mein gum hai guman hai poshida

palak pe aa ke sitare ne dastan kah di
jo dil mein aag hai us ka dhuan hai poshida

ufuq se ta-ba-ufuq hai sarab phaila hua
aur is sarab mein sara jahan hai poshida

sitara kya mujhe aflak ki KHabar dega?
nazar se us ki to mera jahan hai poshida

tu KHud hai KHar-o-zabun hirs-o-az-e-duniya mein
khulega tujh pe kahan jo jahan hai poshida

main aankh khol ke takta hun dur tak 'anwar'
ki DhunD lun jo mera aashiyan hai poshida