kabhi to dair-o-haram se tu aaega wapas
main mai-kade mein tera intizar kar lunga
Abdul Hamid Adam
main mai-kade ki rah se ho kar nikal gaya
warna safar hayat ka kafi tawil tha
Abdul Hamid Adam
mai-kada hai yahan sakun se baiTh
koi aafat idhar nahin aati
Abdul Hamid Adam
tauba khaDi hai dar pe jo fariyaad ke liye
ye mai-kada bhi kya kisi qazi ka ghar hua
Ahmad Husain Mail
din raat mai-kade mein guzarti thi zindagi
'aKHtar' wo be-KHudi ke zamane kidhar gae
Akhtar Shirani
masjid mein bulate hain hamein zahid-e-na-fahm
hota kuchh agar hosh to mai-KHane na jate
Ameer Minai
teri masjid mein waiz KHas hain auqat rahmat ke
hamare mai-kade mein raat din rahmat barasti hai
Ameer Minai