sanam-parasti karun tark kyunkar ai waiz
buton ka zikr KHuda ki kitab mein dekha
Aagha Akbarabadi
chhoDa nahin KHudi ko dauDe KHuda ke pichhe
aasan ko chhoD bande mushkil ko DhunDte hain
Abdul Hamid Adam
zaban-e-hosh se ye kufr sarzad ho nahin sakta
main kaise bin piye le lun KHuda ka nam ai saqi
Abdul Hamid Adam
wo so raha hai KHuda dur aasmanon mein
farishte loriyan gate hain us ke kanon mein
Abdur Rahim Nashtar
sukh mein hota hai hafiza bekar
dukh mein allah yaad aata hai
Afsar Merathi
KHud ko to 'nadim' aazmaya
ab mar ke KHuda ko aazmaun
Ahmad Nadeem Qasmi
mere KHuda ne kiya tha mujhe asir-e-bahisht
mere gunah ne rihai mujhe dilai hai
Ahmad Nadeem Qasmi