ek teri be-ruKHi se zamana KHafa hua
ai sang-dil tujhe bhi KHabar hai ki kya hua
Arsh Siddiqui
itna to bata jao KHafa hone se pahle
wo kya karen jo tum se KHafa ho nahin sakte
Asad Bhopali
jaane kyun un se milte rahte hain
KHush wo kya honge jab KHafa hi nahin
Baqar Mehdi
chheDa hai dast-e-shauq ne mujh se KHafa hain wo
goya ki apne dil pe mujhe iKHtiyar hai
Hasrat Mohani
husn yun ishq se naraaz hai ab
phul KHushbu se KHafa ho jaise
Iftikhar Aazmi
log kahte hain ki tu ab bhi KHafa hai mujh se
teri aankhon ne to kuchh aur kaha hai mujh se
Jaan Nisar Akhtar
wo KHush ho ke mujh se KHafa ho gaya
mujhe kya umiden thin kya ho gaya
Jagat Mohan Lal Ravan