yahi haalat ibtida se rahe
log hum se KHafa KHafa se rahe
Javed Akhtar
ya wo the KHafa hum se ya hum hain KHafa un se
kal un ka zamana tha aaj apna zamana hai
Jigar Moradabadi
main apne-ap se har dam KHafa rahta hun yun 'azar'
purani dushmani ho jis tarah do KHandanon mein
Kafeel Aazar Amrohvi
mil bhi jao yunhi tum bahr-e-KHuda aap se aap
jis tarah ho gae ho hum se KHafa aap se aap
Lala Madhav Ram Jauhar
lai hai kahan mujh ko tabiat ki do-rangi
duniya ka talabgar bhi duniya se KHafa bhi
Midhat-ul-Akhtar
ya KHafa hote the hum to minnaten karte the aap
ya KHafa hain hum se wo aur hum mana sakte nahin
Mirza Mohammad Taqi Hawas
KHuda se log bhi KHaif kabhi the
magar logon se ab KHaif KHuda hai
Naresh Kumar Shad