ai shaKHs main teri justuju se
be-zar nahin hun thak gaya hun
Jaun Eliya
teri talash mein nikle to itni dur gae
ki hum se tai na hue fasle judai ke
Junaid Hazin Lari
mujh ko shauq-e-justuju-e-kaenat
KHak se 'adil' KHala tak le gaya
Mahfuzur Rahman Adil
judaiyon ke zaKHm dard-e-zindagi ne bhar diye
tujhe bhi nind aa gai mujhe bhi sabr aa gaya
Nasir Kazmi
sab kuchh to hai kya DhunDti rahti hain nigahen
kya baat hai main waqt pe ghar kyun nahin jata
Nida Fazli
justuju khoe huon ki umr bhar karte rahe
chand ke hamrah hum har shab safar karte rahe
Parveen Shakir
justuju jis ki thi us ko to na paya hum ne
is bahane se magar dekh li duniya hum ne
Shahryar