اردو हिंदी
Justuju jis ki thi usko to na paya humne | Shaahi Shayari
justuju jis ki thi usko to na paya humne

Ghazal

Justuju jis ki thi usko to na paya humne

Shahryar

;

justuju jis ki thi us ko to na paya hum ne
is bahane se magar dekh li duniya hum ne

sab ka ahwal wahi hai jo hamara hai aaj
ye alag baat ki shikwa kiya tanha hum ne

KHud pashiman hue ne use sharminda kiya
ishq ki waza ko kya KHub nibhaya hum ne

kaun sa qahr ye aankhon pe hua hai nazil
ek muddat se koi KHwab na dekha hum ne

umr bhar sach hi kaha sach ke siwa kuchh na kaha
ajr kya is ka milega ye na socha hum ne