teri aarzu teri justuju mein bhaTak raha tha gali gali
meri dastan teri zulf hai jo bikhar bikhar ke sanwar gai
Bashir Badr
nahin nigah mein manzil to justuju hi sahi
nahin visal mayassar to aarzu hi sahi
Faiz Ahmad Faiz
pa sakenge na umr bhar jis ko
justuju aaj bhi usi ki hai
Habib Jalib
meri tarah se mah-o-mahr bhi hain aawara
kisi habib ki ye bhi hain justuju karte
Haidar Ali Aatish
mohabbat ek tarah ki niri samajat hai
main chhoDun hun teri ab justuju hua so hua
Hasrat Azimabadi
dar-ba-dar mara-phira main justuju-e-yar mein
zahid-e-kaba hua rahban-e-but-KHana hua
Hatim Ali Mehr
justuju karni har ek amr mein nadani hai
jo ki peshani pe likkhi hai wo pesh aani hai
Imam Bakhsh Nasikh