hum apna ishq chamkaen tum apna husn chamkao 
ki hairan dekh kar aalam hamein bhi ho tumhein bhi ho
Bahadur Shah Zafar
ahut dinon se mere sath thi magar kal sham 
mujhe pata chala wo kitni KHubsurat hai
Bashir Badr
hasin to aur hain lekin koi kahan tujh sa 
jo dil jalae bahut phir bhi dilruba hi lage
Bashir Badr
wo chandni ka badan KHushbuon ka saya hai 
bahut aziz hamein hai magar paraya hai
Bashir Badr
aaina dekh kar wo ye samjhe 
mil gaya husn-e-be-misal hamein
Bekhud Dehlvi
na dekhna kabhi aaina bhul kar dekho 
tumhaare husn ka paida jawab kar dega
Bekhud Dehlvi
husn bhi kambaKHt kab KHali hai soz-e-ishq se 
shama bhi to raat bhar jalti hai parwane ke sath 
when is poor beauty saved from the 
along with the moths all night the flame did surely burn
Bismil Saeedi

