insan ki KHwahishon ki koi intiha nahin
do gaz zamin bhi chahiye do gaz kafan ke baad
Kaifi Azmi
dekhna hasrat-e-didar ise kahte hain
phir gaya munh teri jaanib dam-e-murdan apna
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
arman wasl ka meri nazron se taD ke
pahle hi se wo baiTh gae munh bigaD ke
Lala Madhav Ram Jauhar
jine walon se kaho koi tamanna DhunDen
hum to aasuda-e-manzil hain hamara kya hai
Mahmood Ayaz
aqi abhi hai tark-e-tamanna ki aarzu
kyun-kar kahun ki koi tamanna nahin mujhe
Muzaffar Ali Aseer
aarzu hai ki tu yahan aae
aur phir umr bhar na jae kahin
Nasir Kazmi
aarzu hasrat aur ummid shikayat aansu
ek tera zikr tha aur bich mein kya kya nikla
Sarwar Alam Raz