kah do in hasraton se kahin aur ja basen
itni jagah kahan hai dil-e-dagh-dar mein
tell all my desires to go find another place
in this scarred heart alas there isn't enough space
Bahadur Shah Zafar
mai-kade ko ja ke dekh aaun ye hasrat dil mein hai
zahid us miTTi ki ulfat meri aab-o-gil mein hai
Habeeb Musvi
kuchh nazar aata nahin us ke tasawwur ke siwa
hasrat-e-didar ne aankhon ko andha kar diya
save visions of her, nothing comes to mind
the longing for her sight surely turned me blind
Haidar Ali Aatish
KHwab, ummid, tamannaen, talluq, rishte
jaan le lete hain aaKHir ye sahaare sare
Imran-ul-haq Chauhan
ek bhi KHwahish ke hathon mein na mehndi lag saki
mere jazbon mein na dulha ban saka ab tak koi
Iqbal Sajid
KHwahishon ne Dubo diya dil ko
warna ye bahr-e-be-karan hota
Ismail Merathi
hasraton ka ho gaya hai is qadar dil mein hujum
sans rasta DhunDhti hai aane jaane ke liye
Jigar Jalandhari