aghban ne aag di jab aashiyane ko mere
jin pe takiya tha wahi patte hawa dene lage
Saqib Lakhnavi
zamana baDe shauq se sun raha tha
hamin so gae dastan kahte kahte
Saqib Lakhnavi
chaman mein iKHtilat-e-rang-o-bu se baat banti hai
hum hi hum hain to kya hum hain tum hi tum ho to kya tum ho
Sarshar Sailani
umr-e-daraaz mang ke lai thi chaar din
do aarzu mein kaT gae do intizar mein
a long life, four days in all, I did negotiate
two were spent in hope and two were spent in wait
Seemab Akbarabadi
ye bazm-e-mai hai yan kotah-dasti mein hai mahrumi
jo baDh kar KHud uTha le hath mein mina usi ka hai
Shad Azimabadi
sar-e-mizhgan ye nale ab bhi aansu ko taraste hain
ye sach hai jo garajte hain wo baadal kam baraste hain
Shah Naseer
chale to panw ke niche kuchal gai koi shai
nashe ki jhonk mein dekha nahin ki duniya hai
Shahab Jafri