ghazal us ne chheDi mujhe saz dena
zara umr-e-rafta ko aawaz dena
Safi Lakhnavi
kashmir ki wadi mein be-parda jo nikle ho
kya aag lagaoge barfili chaTanon mein
Saghar Azmi
abhi na chheD mohabbat ke git ai mutrib
abhi hayat ka mahaul KHush-gawar nahin
Sahir Ludhianvi
arbaadiyon ka sog manana fuzul tha
barbaadiyon ka jashn manata chala gaya
Sahir Ludhianvi
duniya ne tajrabaat o hawadis ki shakl mein
jo kuchh mujhe diya hai wo lauTa raha hun main
Sahir Ludhianvi
hum gham-zada hain laen kahan se KHushi ke git
denge wahi jo paenge is zindagi se hum
Sahir Ludhianvi
hum jurm-e-mohabbat ki saza paenge tanha
jo tujh se hui ho wo KHata sath liye ja
Sahir Ludhianvi