اردو हिंदी
Subh baalin pe ye kahta hua gham-KHwar aaya | Shaahi Shayari
subh baalin pe ye kahta hua gham-KHwar aaya

Ghazal

Subh baalin pe ye kahta hua gham-KHwar aaya

Josh Malihabadi

;

subh baalin pe ye kahta hua gham-KHwar aaya
uTh ki fariyaad-ras-e-ashiq-e-bimar aaya

baKHt-e-KHwabida gaya zulmat-e-shab ke hamrah
subh ka nur liye daulat-e-bedar aaya

KHair se bagh mein phir ghuncha-e-gul-rang khila
shukr hai daur mein phir saghar-e-sarshaar aaya

jhum ai tishna-e-gul-bang nigar-e-ishrat
ki lab-e-yar liye chashma-e-guftar aaya

shukr-e-izad ki wo sarKHail-e-masiha-nafsan
zulf bar-dosh pai-e-pursish-e-bimar aaya

ruKHsat ai shikwa-e-qismat ki sar-e-bazm-e-nashat
nasiKH-e-masala-e-andak-o-bisyar aaya

lillahil-hamd ki gulzar mein hangam-e-subuh
hukm-e-azadi-e-murghan-e-giraftar aaya

ghuncha-e-basta chaTak jag uThi mauj-e-saba
shola-e-husn bhaDak misr ka bazar aaya

KHush ho ai ishq ki phir husn hua mail-e-naz
muzhda ai jins-e-mohabbat ki KHaridar aaya

ai nazar shukr baja la ki khuli zulf-e-daraaz
ai sadaf aankh uTha abr-e-guhar-bar aaya

baadban naz se lahra ke chali baad-e-murad
karwan id mana qafila-salar aaya

KHush ho ai gosh ki jibril-e-tarannum chahka
muzhda ai chashm ki paighambar-e-anwar aaya

KHush ho ai pir-e-mughan 'josh' hua naghma-farosh
muzhda ai duKHtar-e-raz rind-e-qadah-KHwar aaya