ajab harif tha mere hi sath Dub gaya
mere safine ko gharqab dekhne ke liye
Irfan Siddiqi
doston aur dushmanon mein kis tarah tafriq ho
doston aur dushmanon ki be-ruKHi hai ek si
Jan Kashmiri
ahaaron ki nazar mein phul aur kanTe barabar hain
mohabbat kya karenge dost dushman dekhne wale
Kaleem Aajiz
din ek sitam ek sitam raat karo ho
wo dost ho dushman ko bhi tum mat karo ho
Kaleem Aajiz
mere dushman na mujh ko bhul sake
warna rakhta hai kaun kis ko yaad
Khalilur Rahman Azmi
dushmanon se pasheman hona paDa hai
doston ka KHulus aazmane ke baad
Khumar Barabankavi
dushmanon se pyar hota jaega
doston ko aazmate jaiye
Khumar Barabankavi