faqat nigah se hota hai faisla dil ka
na ho nigah mein shoKHi to dilbari kya hai
Allama Iqbal
dil se KHayal-e-dost bhulaya na jaega
sine mein dagh hai ki miTaya na jaega
Altaf Hussain Hali
hum ek jaan hi sahi dil to apne apne the
kahin kahin se fasana juda to hona tha
Ameen Rahat Chugtai
in shoKH hasinon pe jo mail nahin hota
kuchh aur bala hoti hai wo dil nahin hota
Ameer Minai
nawak-e-naz se mushkil hai bachana dil ka
dard uTh uTh ke batata hai Thikana dil ka
Ameer Minai
pahlu mein mere dil ko na ai dard kar talash
muddat hui gharib watan se nikal gaya
Ameer Minai
samajhta hun sabab kafir tere aansu nikalne ka
dhuan lagta hai aankhon mein kisi ke dil ke jalne ka
Ameer Minai