dil ki virani ka kya mazkur hai
ye nagar sau martaba luTa gaya
why even mention of the heart's deserted state
this city's been looted a hundred times to date
Mir Taqi Mir
kisu se dil nahin milta hai ya rab
hua tha kis ghaDi un se juda main
Mir Taqi Mir
dil mein ek iztirab baqi hai
ye nishan-e-shabab baqi hai
Mirza Mohammad Taqi Hawas
dard-e-dil kya bayan karun 'rashki'
us ko kab e'tibar aata hai
Mohammad Ali Khan Rashki
kuchh to is dil ko saza di jae
us ki taswir haTa di jae
Mohammad Alvi
muddat ke baad aaj use dekh kar 'munir'
ek bar dil to dhaDka magar phir sambhal gaya
Muneer Niyazi
dil to mera udas hai 'nasir'
shahr kyun saen saen karta hai
Nasir Kazmi