wo baat zara si jise kahte hain gham-e-dil
samjhane mein ek umr guzar jae hai pyare
Kaleem Aajiz
ek dil hai ki ujaD jae to basta hi nahin
ek but-KHana hai ujDe to haram hota hai
Kamal Ahmad Siddiqi
hangama-e-hayat se jaan-bar na ho saka
ye dil ajib dil hai ki patthar na ho saka
Khalilur Rahman Azmi
aql o dil apni apni kahen jab 'KHumar'
aql ki suniye dil ka kaha kijiye
Khumar Barabankavi
mujhe to un ki ibaadat pe rahm aata hai
jabin ke sath jo sajde mein dil jhuka na sake
Khumar Barabankavi
aushni ke liye dil jalana paDa
kaisi zulmat baDhi tere jaane ke baad
Khumar Barabankavi
kisi KHayal kisi KHwab ke liye 'KHurshid'
diya dariche mein rakkha tha dil jalaya tha
Khurshid Rabbani