teri pahli did ke sath hi wo fusun bhi tha
tujhe dekh kar tujhe dekhna mujhe aa gaya
Iqbal Kausar
aaina kabhi qabil-e-didar na howe
gar KHak ke sath us ko sarokar na howe
Ishq Aurangabadi
dekha nahin wo chand sa chehra kai din se
tarik nazar aati hai duniya kai din se
Junaid Hazin Lari
aankh uTha kar use dekhun hun to nazron mein mujhe
yun jatata hai ki kya tujh ko nahin Dar mera
Jurat Qalandar Bakhsh
'dard' ke milne se ai yar bura kyun mana
us ko kuchh aur siwa did ke manzur na tha
Khwaja Meer u0027Dardu0027
dekhna hasrat-e-didar ise kahte hain
phir gaya munh teri jaanib dam-e-murdan apna
Khwaja Mohammad Vazeer Lakhnavi
ghair ko sharbat-e-didar mubarak tera
ab to pani bhi piyega na tere ghar ka koi
Lala Madhav Ram Jauhar