meri aankhen aur didar aap ka
ya qayamat aa gai ya KHwab hai
Aasi Ghazipuri
tu samne hai to phir kyun yaqin nahin aata
ye bar bar jo aankhon ko mal ke dekhte hain
Ahmad Faraz
haTao aaina ummid-war hum bhi hain
tumhaare dekhne walon mein yar hum bhi hain
Ameer Minai
wo dushmani se dekhte hain dekhte to hain
main shad hun ki hun to kisi ki nigah mein
Ameer Minai
janab ke ruKH-e-raushan ki did ho jati
to hum siyah-nasibon ki id ho jati
Anwar Shuoor
dekhne ke liye sara aalam bhi kam
chahne ke liye ek chehra bahut
Asad Badayuni
main kaamyab-e-did bhi mahrum-e-did bhi
jalwon ke izhdiham ne hairan bana diya
Asghar Gondvi