kaun aata hai ayaadat ke liye dekhen 'faragh'
apne ji ko zara na-saz kiye dete hain
Faragh Rohvi
jab na tha zabt to kyun aae ayaadat ke liye
tum ne kahe ko mera haal-e-pareshan dekha
Hafeez Jaunpuri
tandurusti se to behtar thi meri bimari
wo kabhi puchh to lete the ki haal achchha hai
Hafeez Jaunpuri
aane lage hain wo bhi ayaadat ke waste
ai chaaragar mariz ko achchha kiya na jae
Hameed Jalandhari
dekhne aae the wo apni mohabbat ka asar
kahne ko ye hai ki aae hain ayaadat kar ke
Hasrat Mohani
aan ke is bimar ko dekhe tujh ko bhi taufiq hui
lab par us ke nam tha tera jab bhi dard shadid hua
Ibn e Insha
apni zaban se kuchh na kahenge chup hi rahenge aashiq log
tum se to itna ho sakta hai puchho haal bechaaron ka
Ibn e Insha