wo ayaadat ko na aaya karen main dar guzra
haal-e-dil puchh ke aur aag laga jate hain
Lala Madhav Ram Jauhar
Tags:
| Ayaadat |
| 2 Lines Shayari |
ahr-e-ayaadat aae wo lekin qaza ke sath
dam hi nikal gaya mera aawaz-e-pa ke sath
Momin Khan Momin
Tags:
| Ayaadat |
| 2 Lines Shayari |
ek din puchha na 'hatim' ko kabhu us ne ki dost
kab se tu bimar hai aur kya tujhe aazar hai
Shaikh Zahuruddin Hatim
kabhu bimar sun kar wo ayaadat ko to aata tha
hamein apne bhale hone se wo aazar behtar tha
Shaikh Zahuruddin Hatim
le meri KHabar chashm mere yar ki kyun-kar
bimar ayaadat kare bimar ki kyun-ka
Taban Abdul Hai