اردو हिंदी
KHud-baKHud aankh badal kar ye sawal achchha hai | Shaahi Shayari
KHud-baKHud aankh badal kar ye sawal achchha hai

Ghazal

KHud-baKHud aankh badal kar ye sawal achchha hai

Hafeez Jaunpuri

;

KHud-baKHud aankh badal kar ye sawal achchha hai
roz kab tak koi puchha kare haal achchha hai

hijr mein aish-e-guzishta ka KHayal achchha hai
ho jhalak jis mein KHushi ki wo malal achchha hai

wasl se aap ka arman-e-visal achchha hai
is ka anjam bura us ka maal achchha hai

dagh behtar hai wahi ho jo dil-e-ashiq mein
jo rahe aariz-e-KHuban pe wo KHal achchha hai

dekh in KHak ke putlon ki adaen zahid
in se kis baat mein huron ka jamal achchha hai

kijiye aur bhi shikwe ki miTe dil ka ghubar
baaton baaton mein nikal jae malal achchha hai

tandurusti se to behtar thi meri bimari
wo kabhi puchh to lete the ki haal achchha hai

jo nigahon mein sama jae wo surat achchhi
jo KHaridar ko jach jae wo mal achchha hai

chaara-gar ko mere ye bhi nahin tamiz abhi
kaun sa haal bura kaun sa haal achchha hai

de KHuda zar to koi mai-kada aabaad karen
achchhe kaamon mein jo ho sarf wo mal achchha hai

hans ke kahte hain kabhi hath se uDne ka nahin
tair-e-rang-e-hina be-par-o-baal achchha hai

jo na nikle kabhi dil se wo tamanna achchhi
jo na aae kabhi lab tak wo sawal achchha hai

hasrat aati hai hamein haal par apne kya kya
sunte hain jab kisi bimar ka haal achchha hai

hur ke zikr par aaina uTha kar dekha
is se ima hai ki mera hi jamal achchha hai

aarzu meri na puri ho koi baat hai ye
kash itna wo samajh len ki sawal achchha hai

muft milta hai KHarabaat mein har mai-kash ko
Tharra pine ke liye jam-e-sifal achchha hai

saikDon barq-jamalon ka guzar hota hai
tur-e-sina se mera baam-e-KHayal achchha hai

hun gada-e-dar-e-mai-KHana takalluf se bari
TuTa-phuTa ye mera jam-e-sifal achchha hai

haal sunte nahin be-KHud hain ye masjid wale
in se kuchh mai-kade walon hi ka haal achchha hai

dafatan tark-e-mohabbat mein zarar hai ji ka
rafta rafta jo miTe dil se KHayal achchha hai

ab ke har shahr mein phaila hai jo taun 'hafiz'
marne walon ko KHushi hai ki ye sal achchha hai