اردو हिंदी
Aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maron ka | Shaahi Shayari
aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maron ka

Ghazal

Aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maron ka

Ibn e Insha

;

aur to koi bas na chalega hijr ke dard ke maron ka
subh ka hona dubhar kar den rasta rok sitaron ka

jhuTe sikkon mein bhi uTha dete hain ye aksar sachcha mal
shaklen dekh ke saude karna kaam hai in banjaron ka

apni zaban se kuchh na kahenge chup hi rahenge aashiq log
tum se to itna ho sakta hai puchho haal bechaaron ka

jis jipsi ka zikr hai tum se dil ko usi ki khoj rahi
yun to hamare shahr mein aksar mela laga nigaron ka

ek zara si baat thi jis ka charcha pahuncha gali gali
hum gumnamon ne phir bhi ehsan na mana yaron ka

dard ka kahna chiKH hi uTho dil ka kahna waza nibhao
sab kuchh sahna chup chup rahna kaam hai izzat-daron ka

'insha' ji ab ajnabiyon mein chain se baqi umr kaTe
jin ki KHatir basti chhoDi nam na lo un pyaron ka