اردو हिंदी
Is darja ishq maujib-e-ruswai ban gaya | Shaahi Shayari
is darja ishq maujib-e-ruswai ban gaya

Ghazal

Is darja ishq maujib-e-ruswai ban gaya

Saghar Siddiqui

;

is darja ishq maujib-e-ruswai ban gaya
main aap-apne ghar ka tamashai ban gaya

dair o haram ki rah se dil bach gaya magar
teri gali ke moD pe saudai ban gaya

bazm-e-wafa mein aap se ek pal ka samna
yaad aa gaya to ahd-e-shanasai ban gaya

be-saKHta bikhar gai jalwon ki kaenat
aaina TuT kar teri angDai ban gaya

dekhi jo raqs karti hui mauj-e-zindagi
mera KHayal waqt ki shahnai ban gaya