dard ulfat ka na ho to zindagi ka kya maza
aah-o-zari zindagi hai be-qarari zindagi
Ghulam Bhik Nairang
ai 'hafiz' aah aah par aaKHir
kya kahen dost wah wa ke siwa
Hafeez Jalandhari
ek aisa bhi waqt hota hai
muskurahaT bhi aah hoti hai
Jigar Moradabadi
idhar se bhi hai siwa kuchh udhar ki majburi
ki hum ne aah to ki un se aah bhi na hui
Jigar Moradabadi
aah to ab bhi dil se uThti hai
lekin us mein asar nahin hota
Karamat Bukhari
hum ne hans hans ke teri bazm mein ai paikar-e-naz
kitni aahon ko chhupaya hai tujhe kya malum
Makhdoom Mohiuddin
puchha agar kisi ne mera aa ke haal-e-dil
be-iKHtiyar aah labon se nikal gai
Mirza Raza Barq