اردو हिंदी
KaT gai be-muddaa sari ki sari zindagi | Shaahi Shayari
kaT gai be-muddaa sari ki sari zindagi

Ghazal

KaT gai be-muddaa sari ki sari zindagi

Ghulam Bhik Nairang

;

kaT gai be-muddaa sari ki sari zindagi
zindagi si zindagi hai ye hamari zindagi

kya iradon se hai hasil? taqat-o-fursat kahan
hae kahlati hai kyun be-aKHtyari zindagi

ai sar-e-shorida ab tere wo sauda kya hue!
kya sada se thi yahi ghaflat-shiari zindagi

dard ulfat ka na ho to zindagi ka kya maza
aah-o-zari zindagi hai be-qarari zindagi

aarzu-e-zist bhi yan yan aarzu-e-did hai
tu na pyara ho to mujh ko ho na pyari zindagi

aur murjhaegi teri chheD se dil ki kali
kar na dubhar mujh pe ai baad-e-bahaari zindagi

yan to ai 'nairang' donon ke liye saman nahin
maut bhi mujh par giran hai gar hai bhaari zindagi