jalta hai ab talak teri zulfon ke rashk se
har-chand ho gaya hai chaman ka charagh gul
Abroo Shah Mubarak
jo ki bismillah kar khae taam
to zarar nain go ki howe bis mila
Abroo Shah Mubarak
kabhi be-dam Thahrawen kabhi zanjir karte hain
ye na-shaer teri zulfan kun kya kya nam dharte hain
Abroo Shah Mubarak
kam mat gino ye baKHt-siyahon ka rang-e-zard
sona wahi jo howe kasauTi kasa hua
Abroo Shah Mubarak
KHud apni aadmi ko baDi qaid-e-saKHt hai
phoD aaina wa toD sikandar ki sad ke tain
Abroo Shah Mubarak
KHudawanda karam kar fazl kar ahwal par mere
nazar kar aap par mat kar nazar afaal par mere
Abroo Shah Mubarak
kiya hai chaak dil tegh-e-taghaful sin tujh ankhiyon nin
nigah ke rishta o sozan sun palkan ke rafu kije
Abroo Shah Mubarak