mehrab-e-abruwan kun wasma hua hai zewar
kyun kar kahen na un kun ab zinatul-masajid
Abroo Shah Mubarak
mil gain aapas mein do nazren ek aalam ho gaya
jo ki hona tha so kuchh ankhiyon mein baham ho gaya
Abroo Shah Mubarak
mil gaya tha bagh mein mashuq ek nak-dar sa
rang o ru mein phul ki manind saj mein KHar sa
Abroo Shah Mubarak
muflisi sin ab zamane ka raha kuchh haal nain
aasman charKHi ke jun phirta hai lekin mal nain
Abroo Shah Mubarak
namkin goya kabab hain phike sharab ke
bosa hai tujh laban ka maze-dar chaTpaTa
Abroo Shah Mubarak
phirte the dasht dasht diwane kidhar gae
we aashiqi ke hae zamane kidhar gae
Abroo Shah Mubarak
qad sarw chashm nargis ruKH gul dahan ghuncha
karta hun dekh tum kun sair-e-chaman mamola
Abroo Shah Mubarak