diwane dil kun mere shahr sen hargiz nahin banti
agar jangal ka jaana ho to us ki baat sab ban ja
Abroo Shah Mubarak
dur KHamosh baiTha rahta hun
is tarah haal dil ka kahta hun
Abroo Shah Mubarak
fani-e-ishq kun tahqiq ki hasti hai kufr
dam-ba-dam zist nen meri mujhe zunnar diya
Abroo Shah Mubarak
gham ke pichho rast kahte hain ki shadi howe hai
hazrat-e-ramzan gae tashrif le ab id hai
Abroo Shah Mubarak
gham se hum sukh jab hue lakDi
dosti ka nihaal Dal kaT
Abroo Shah Mubarak
gham sin ahl-e-bait ke ji to tera kuDhta nahin
yun abas paDhta phira jo marsiya to kya hua
Abroo Shah Mubarak
ho gae hain pair sare tifl-e-ashk
girya ka jari hai ab lag silsila
Abroo Shah Mubarak