kya sabab tere badan ke garm hone ka sajan
aashiqon mein kaun jalta tha gale kis ke laga
Abroo Shah Mubarak
kyun kar baDa na jaane munkir nape ko apne
inkar us ka nana aur shaiKH hai nawasa
Abroo Shah Mubarak
kyun malamat is qadar karte ho be-hasil hai ye
lag chuka ab chhuTna mushkil hai us ka dil hai ye
Abroo Shah Mubarak
kyun na aa kar us ke sunne ko karen sab yar bhiD
'abru' ye reKHta tu nin kaha hai dhum ka
Abroo Shah Mubarak
kyun teri thoDi si garmi sin pighal jawe hai jaan
kya tu nen samjha hai aashiq is qadar hai mom ka
Abroo Shah Mubarak
malum ab hua hai aa hind bich hum kun
lagte hain dil-baran ke lab rang-e-pan se kya KHu
Abroo Shah Mubarak
main nibal tanha na is duniya ki sohbat sin hua
rustamon kun kar diya hai na-tawan inzal nin
Abroo Shah Mubarak