zaKHm aur peD ne ek sath dua mangi hai
dekhiye pahle yahan kaun hara hota hai
Abid Malik
kyun na apni KHubi-e-qismat pe itraati hawa
phul jaise ek badan ko chhu kar aai thi hawa
Abid Munavari
dam ke dam mein duniya badli bhiD chhaTi kohram uTha
chalte chalte sans ruki aur KHatm hua afsana bhi
Abid Nami
ye aaj kaun si taqsir ho gai 'nami'
ki dost bhi to milate nahin nazar hum se
Abid Nami
us ke Dar hi se main mohazzab hun
mere andar jo ek wahshi hai
Abid Siddiq
kaf-e-KHizan pe khila main is e'tibar ke sath
ki har numu ka talluq nahin bahaar ke sath
Abid Syal
yahan wahan hain kai KHwab jagmagate hue
kahin kahin koi tabir TimTimati hui
Abid Syal