main sochta hun bahut zindagi ke bare mein
ye zindagi bhi mujhe soch kar na rah jae
Abhishek Shukla
maqam-e-wasl to arz-o-sama ke bich mein hai
main is zamin se niklun tu aasman se nikal
Abhishek Shukla
safar ke baad bhi zauq-e-safar na rah jae
KHayal o KHwab mein ab ke bhi ghar na rah jae
Abhishek Shukla
shab bhar ek aawaz banai subh hui to chiKH paDe
roz ka ek mamul hai ab to KHwab-zada hum logon ka
Abhishek Shukla
teri aankhon ke liye itni saza kafi hai
aaj ki raat mujhe KHwab mein rota hua dekh
Abhishek Shukla
us se kahna ki dhuan dekhne laeq hoga
aag pahne hue main jaunga pani ki taraf
Abhishek Shukla
wahan pahle hi aawazen bahut thin
so main ne chup karaya KHamushi ko
Abhishek Shukla